Haiy baaday rasool ummat nay fatima ko bohot sataya hai

Uskay ghar ko jalanay aay hain jis keh ghar meh quran aaya hai

1-Teri himat ka naam hai zainab our shabbir hai sabr tera
Tere aansoo Sajjad ke ansoo or sakina mein hai assar tera
Tere bachon nay bibi teri tara zulm seh ke bhee deen bachaya hai

2-Bharay darbar mein musalma nay dono jhutla diyai hai laal uskay
Jaanay kesa sulook kar dala pal me ho gaye safaid baal uskay
Gir ke baihoosh ho gayee zahra haal zainab ko Jab sunaya hai

3-Boli fizza issay rulao na jhirkiyan do na kuch to sharam karo
Dekh jisko nabi karay rehtay usko darbar mein khara na karo
Roee jad laadli mohomad ki sara darbar muskuraya hai

4-Jo ajar syeda nay hai paaya kesay koi lagaay andaza
Jab musalmano nay kiya hamla you laga Fatima ko darvaza
Zakhmi pehlu say paak bibi nay mar keh bhee haat na uthaya hai

5-Haath amma tere janazay ko mein na us waqt tak lagaoonga
Na bhulayai gee jab talak mujhko bolay shabbir mein na aoonga
Ghar mein kohraam hogaya barpa shah ko bibi nay jab bulaya hai

6-Roti rehti thee dair tak zainab dil ko aata na ik pal bhee cheyn
Yaad ateen vasiyatay maa ki jab kabi paani maangta tha Hussain
Pyaas bhayi ki daikh kar mar jaati kis tara waqt vo nibhaya hai

7-Na Hassan dar hai koi Mehshar ka or na khof hai jahanum ka
Ham azadaro ko to bas bibi aasara hai bohat tere gham ka
Kasam ghazi ki khushnasseb hai vo jis kay dil me yai gham samaya hai