Madhe aamade imam e hadan e Mujtaba (a.s)

Mahe siyaam ka hai vusat our aamade hasan
Jinaan me jashn ki saji hayi hai aaj anjuman

Karam hai ye me farsh par hu arsh par hai faqr o fan
Dil o dimaag our mere khayaal hai waha magan

Hasan ke ishq me qabaye sabz karke zaib tan
wo nassha e wila ki mooj me hai share moojzan

Laga hai aisa aamad hasan(a.s) ki manqabat pe man
Me padh raha hu or anbiya(a.s) mere ham sukhan

Hasan (a.s) wo jis se mustafa (saww) pukaarte the jaane man
Kaha gaya ali (a.s) ko jis ke aane pad abul hasan

Hara bhara ye ho gaya hai jis se fatema chaman
Wo panjeta ki bazm me hasan hai cohta(4) gul badan

Ali (a.s) O fatema (s.a) ki khushi se hai jisse jalan
Jalayegi baroze hashr usko dozhakhi aagan

Nabi ki aal par hai jo bhi taana zan ya teer zan
Azaab se na Bach sake ga kar le chahe so Jatan

Payame Aman le kar chal rahi hai Har taraf Pawan
Darood ki saadao se fiza se chaat rahi ghutan

Zamana hai qayaam me zara si bhi nahi thakan
Labo pe harfe tehniyat liye farishte hai magan

Falaq tak saja saja zami zami Zaman Zaman
Gulo ke sir sajood me tashkur ek chaman chaman

Pehan liya khushi se Har shajar ne sabz pehrahan
Wo paniyo pe girti aabsharo ki jhanan jhanan

Hijab e noor e lam yalid me noor ki padi kadan
Nazool e mujtaba hua zameen ban gayi Adan

Malayeka ke sath jibrail hai wo Naray e zan
Wo a gaye wo a gaye batool goud me hasan(a.s)